to mujhe ek jhalak bhī nahīñ dikhlānī kyā
sirf muusā pe ināyat thī ye farmānī kyā
maiñ kisī shaḳhs ke marne pe bhī ġhamgīn nahīñ
ḳhaak agar ḳhaak meñ miltī hai to hairānī kyā
ḳhat meñ likhte ho bahut dukh hai tumheñ hijrat kā
yaar jab jā hī chuke ho to pashemānī kyā
merī āñkhoñ meñ zarā ġhaur se dekh aur batā
in se baḌh kar hai bhalā dasht kī vīrānī kyā
na ġham-e-yār hai mujh ko na ġham-e-daurāñ hai
āḳhir ab ziist meñ bhī is qadar āsānī kyā
merī miTTī meñ alag shai hai koī kūza-gar
vaqt-e-tajsīm mirī ḳhaak nahīñ chhānī kyā