Qateel Shifai

tah mein jo rah gae wo sadaf bhi nikaliye

Qateel Shifai

Hazara, Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan

1919-2001
tah meñ jo rah ga.e vo sadaf bhī nikāliye
tuġhyāniyoñ kā haath samundar meñ Dāliye
apnī hadoñ meñ rahiye ki rah jaa.e aabrū
uupar jo dekhnā hai to pagḌī sambhāliye
ḳhushbū to muddatoñ kī zamīñ-doz ho chukī
ab sirf pattiyoñ ko havā meñ uchhāliye
sadiyoñ kā farq paḌtā hai lamhoñ ke pher meñ
jo ġham hai aaj kā use kal par na Tāliye
aayā hī thā abhī mire lab pe vafā kā naam
kuchh dostoñ ne haath meñ patthar uThā liye
kah do salīb-e-shab se ki apnī manā.e ḳhair
ham ne to phir charāġh saroñ ke jalā liye
duniyā kī nafrateñ mujhe qallāsh kar ga.iiñ
ik pyaar kī nazar mire kaase meñ Dāliye
mahsūs ho rahā hai kuchh aisā mujhe 'qatīl'
nīndoñ ne jaise aaj kī shab par lagā liye
Top Urdushayar.com