bagūle rahnumā haiñ bād-e-sahrā.ī safar meñ hai
rukeñ kaise hamāre saath rusvā.ī safar meñ hai
ḳhabar bhī to nahīñ hai ab kidhar ko jā rahe haiñ ham
sarāboñ kā safar hai ābla-pā.ī safar meñ hai
ye bastī hai ki zindāñ kuchh bhī to palle nahīñ paḌtā
the kab pachhuā ke din aur kab se purvā.ī safar meñ hai
kahāñ se aa.iiñ kānoñ ke liye rim-jhim sī āvāzeñ
jaras ik lafz-e-pārīna hai shahnā.ī safar meñ hai
azal se tā-abad hai kār-farmā gardish-e-daurāñ
ki nādānī hazar meñ aur dānā.ī safar meñ hai
use sadiyāñ lageñgī niiñd se bedār hone meñ
abhī āġhāz kā mausam hai añgḌā.ī safar meñ hai
koī aahaT banātī hī nahīñ ummīd kā mausam
kuchh aisī chup lagī hai jaise goyā.ī safar meñ hai
akele-pan kā 'azmī' ho bhī to ehsās kaise ho
tasalsul se hamārī shām-e-tanhā.ī safar meñ hai