Islam Uzma

ajab hi Dhang se ab anjuman-arai hoti hai

Islam Uzma

ajab hī Dhañg se ab anjuman-ārā.ī hotī hai
jahāñ par bhī raheñ ham saath meñ tanhā.ī hotī hai
fatūhāt-e-dil-o-jāñ par yuuñ mat itrā mire lashkar
ki is maidān meñ fil-faur hī paspā.ī hotī hai
ye mela vaqt kā hai haath us ke haath meñ rakhnā
bichhaḌ jaa.eñ yahāñ to phir kahāñ yakjā.ī hotī hai
ham aise kuchh bhī kar leñ un kī tah ko pā nahīñ sakte
amīr-e-shahr kī bātoñ meñ vo gahrā.ī hotī hai
salāsat se bayāñ ahvāl-e-dil karnā hai ik ḳhūbī
basā-auqāt chup rahnā bhī to dānā.ī hotī hai
zabān-e-ḳhalq goyā.ī ke gauhar to luTātī hai
laboñ par jo nahīñ aatī vahī sachchā.ī hotī hai
Top Urdushayar.com