ba-zāhir rañg ḳhushbū raushnī yak-jān hote haiñ
magar ye shahr andar se bahut vīrān hote haiñ
koī maane na maane guftugū kartī hai ḳhāmoshī
pas-e-dīvār-e-hasrat bhī ka.ī tūfān hote haiñ
ulajh jaa.eñ to suljhāne ko ye umreñ bhī nā-kāfī
ta.āruf ke agarche silsile āsān hote haiñ
sarāboñ kī ḳhabar rakhnā gharoñ ko chhoḌne vaalo
ka.ī ik be-dar-o-dīvār bhī zindān hote haiñ
yahāñ saarī kī saarī raunaqeñ reg-e-ravāñ se haiñ
bagūle hī to registān kī pahchān hote haiñ
palaT aane kā rasta aur hī koī banātā hai
musāfir sab ke sab anjām se anjān hote haiñ
to phir āñkhoñ meñ sapne ek se kyūñkar nahīñ ugte
lakīroñ ke agar donoñ taraf insān hote haiñ
safar to chalte rahne kī lagan se shart hai 'azmī'
jinheñ chalnā bahut ho be-sar-o-sāmān hote haiñ