jo chāhūñ bhī to ab ḳhud ko badal saktā nahīñ huuñ
samundar huuñ kināroñ se nikal saktā nahīñ huuñ
maiñ yaḳh-basta fazāoñ meñ asīr-e-zindagī huuñ
tirī sāñsoñ kī garmī se pighal saktā nahīñ huuñ
mire paañv ke nīche jo zamīñ hai ghūmtī hai
to yuuñ ai āsmāñ maiñ bhī sambhal saktā nahīñ huuñ
ḳhud apne dushmanoñ ke saath samjhautā hai mumkin
maiñ tere dushmanoñ ke saath chal saktā nahīñ huuñ
vo paudā nafratoñ kā hai jahāñ chāhe ugā lo
mohabbat huuñ maiñ har miTTī meñ phal saktā nahīñ huuñ
unheñ laḌnā paḌegā mujh se jab tak huuñ maiñ zinda
hisār-e-dushmanāñ se go nikal saktā nahīñ huuñ
khule haiñ rāste kitne mire raste meñ 'azmī'
magar maiñ huuñ ki har sāñche meñ Dhal saktā nahīñ huuñ