be-sabab vahshateñ karne kā sabab jāntā hai
maiñ jo kartā huuñ vo kyuuñ kartā huuñ sab jāntā hai
bolte sab haiñ magar baat kahāñ karte haiñ
ye salīqa to koī mohr-ba-lab jāntā hai
mujh se gustāḳh ko vo kaise gavāra kar le
jab ki vo shahr-e-suḳhan hadd-e-adab jāntā hai
apne hī Dhab se vo kartā hai mirī chāragarī
kab chamaknā hai mirā tāle-e-shab jāntā hai
kaise mausam meñ kahāñ rāhat-e-jāñ utregā
aisī sab bāteñ dil-e-rañj-e-talab jāntā hai
bhuul saktā hai use ye dil-e-ayyār magar
chashm-o-abrū kā fusūñ lazzat-e-lab jāntā hai
muskurā kar jise miltā huuñ hamesha 'azmī'
ik vahī merī udāsī kā sabab jāntā hai