āshiqī meñ ḳhāmushī mumkin hai nā-mumkin nahīñ
kyā karūñ mujh se to zabt-e-iltijā mumkin nahīñ
tālib-e-āzār ishq aur husn āsā.ish-pasand
tū bhī ho merā sharīk-e-mudda.ā mumkin nahīñ
maiñ jo miT jā.ūñ to badlūñ rañg-o-bū kā pairahan
ālam-e-ījād meñ merī fanā mumkin nahīñ
har jagah jalve tire merī nazar ke saath haiñ
maiñ pukārūñ tū na ho jalva-numā mumkin nahīñ
sāzish-e-dariyā-o-sāhil se to mumkin hai magar
mujh ko ye maujeñ Dubo deñ nā-ḳhudā mumkin nahīñ
jis nazar ko mere dard-e-dil kā bhī irfāñ na ho
vo nazar ho jaa.e ālam-āshnā mumkin nahīñ