sajde jabīn-e-shauq ke ab rā.egāñ nahīñ
tū be-hijāb anjuman-ārā kahāñ nahīñ
maiñ mīr-e-kārvāñ huuñ pas-e-kārvāñ nahīñ
hāthoñ meñ mere dāman-e-manzil kahāñ nahīñ
maujūdgi-e-jannat-o-dozaḳh se hai ayaañ
rahmat hai ek bahr magar be-karāñ nahīñ
chāhe hijāb meñ raho to chāhe be-hijāb
ham tum hī to haiñ aur koī darmiyāñ nahīñ
barq-e-jamāl-e-dost na ho is pe shola zan
terā bhī ghar hai sirf mirā āshiyāñ nahīñ
dilchaspiyāñ bahut sī haiñ is iḳhtisār meñ
kuchh ġham nahīñ shabāb agar jāvedāñ nahīñ
sākit falak ko muft meñ zālim banā diyā
gardish meñ hai zamīn faqat āsmāñ nahīñ
nākām-tar haiñ merī shikasta-nasībiyāñ
'maḳhmūr' sirf ziist hī nā-kāmrāñ nahīñ