mujh se shakeb-e-qalb kā sāmāñ na ho sakā
us par bhī dil kā raaz numāyāñ na ho sakā
ye dil miTā miTā sā ye sho.ala bujhā bujhā
ek āftāb se bhī farozāñ na ho sakā
suljhā.e terī zulf-e-pareshāñ ke bal magar
qaa.em nizām-e-ālam-e-imkāñ na ho sakā
tujh ko tire shabāb ko rañg-e-baqā diyā
apnī hī ziist kā koī sāmāñ na ho sakā
chhiḌkī tire tabassum pinhāñ kī chāñdnī
ḳhalvat kā rañg phir bhī daraḳhshāñ na ho sakā
baiThā rahā jo gesu-e-mushkīñ ke saa.e meñ
vo pā.emāl gardish-e-daurāñ na ho sakā
ā.īna aks-e-jalva se TuuTā nahīñ kabhī
dil yūrish-e-jamāl se hairāñ na ho sakā
nashshe meñ tere paañv pe girtā jabīñ ke bal
'maḳhmūr' itnā kaif-ba-dāmāñ na ho sakā