dil kī duniyā dekh kar kyuuñ rañg-e-duniyā dekhte
dekhne vaalo nahīñ ham dekh kar kyā dekhte
jalva-gāh-e-dil meñ aa jaate vo be-parda agar
ham bhī rañg-e-be-ḳhudī ham rañg-e-mūsā dekhte
chaudhvīñ kā chāñd hotā hai daraḳhshāñ jis tarah
yuuñ tasavvur meñ kisī ko jagmagātā dekhte
ġharq ho jaate mohabbat meñ mohabbat-āshnā
sāhil-o-dariyā se bhī kar ke kinārā dekhte
jazb ho kar rah ga.e ḳhud hī nigāh-e-barq meñ
kyūñkar āñkhoñ se nasheman apnā jaltā dekhte
maiñ kabhī jalva huuñ terā tū kabhī partav mirā
umr guzrī jā rahī hai ye tamāshā dekhte
hote vo jalva-numā gul-paikar-o-gul-pairahan
ham unheñ 'maḳhmūr' firdaus-e-tamāshā dekhte