mazāq-e-ishq se maiñ sharmsār ho na sakā
ki rāzdāñ bhī mirā rāzdār ho na sakā
nazar se zarroñ ko ulTā galoñ ko chaak kiyā
magar maiñ sar-ḳhush-e-dīdār-e-yār ho na sakā
shabāb-o-ishq kī kul umr ek lamha thī
mujhe ye lamha magar sāzgār ho na sakā
bajā-e-ḳhud mirī hastī ko kar diyā uryāñ
vo parda-dār mirā parda-dār ho na sakā
vo kis bharosa par ummīd-vār ho terā
tirī nazar pe jise e.atibār ho na sakā
mulāhiza ho mohabbat kā zauq-e-nazzāra
jo āshkār thā vo āshkār ho na sakā
mirā ma.aal bhī hotā chaman sā ibrat-nāk
junūñ kā shukr ki vaqf-e-bahār ho na sakā
nigāh-e-mast kā mamnūn-e-kaif huuñ 'maḳhmūr'
ki pī to ḳhuub magar bāda-ḳhvār ho na sakā