pāband-e-ehtiyāt-e-vafā bhī na ho sake
ham qaid-e-zabt-e-ġham se rihā bhī na ho sake
dār-o-madār-e-ishq vafā par hai ham-nashīñ
vo kyā kare ki jis se vafā bhī na ho sake
go umr bhar na mil sake aapas meñ ek baar
ham ek dūsre se judā bhī na ho sake
jab juzv kī sifāt meñ kul kī sifāt haiñ
phir vo bashar hī kyā jo ḳhudā bhī na ho sake
ye faiz-e-ishq thā ki huī har ḳhatā muaaf
vo ḳhush na ho sake to ḳhafā bhī na ho sake
vo āstān-e-dost pe kyā sar jhukā.egā
jis se buland dast-e-duā bhī na ho sake
ye ehtirām thā nigah-e-shauq kā jo tum
be-parda ho sake jalva-numā bhī na ho sake
'maḳhmūr' kuchh na pūchhiye majbūri-e-hayāt
achchhī tarah ḳharāb-e-fanā bhī na ho sake