Makhmoor Jalandhari

wafa ke sath mohabbat mein nam paida kar

Makhmoor Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1979
vafā ke saath mohabbat meñ naam paidā kar
yūñhī jahāñ meñ qayām-e-davām paidā kar
tire liye nahīñ kaunain meñ jo gunjā.ish
kisī ke dil hī meñ jā-e-qayām paidā kar
ho jis tarah guzar āñdhī kī tarah manzil se
qadam baḌhā talab-e-tez-gām paidā kar
ye anjum-o-mah-o-ḳhurshīd ho chuke būḌhe
na.ī tajallī-e-bālā-e-bām paidā kar
na reñg mausamī kīḌoñ kī tarah pastī par
falak se bhī koī ūñchā maqām paidā kar
jis anjuman meñ guzar ho tirā mahak jaa.e
sabā kī tarah shagufta ḳhirām paidā kar
bahut udaas hai ab rañg-e-mahfil-e-hastī
jabīñ se sub.h to zulfoñ se shaam paidā kar
ho ek haath meñ shamshīr dūsre meñ qalam
unhī ke zor se duniyā meñ naam paidā kar
nigāh-e-mast se sāġhar bahut piye tū ne
ab aur hī koī 'maḳhmūr' jaam paidā kar
Top Urdushayar.com