Makhmoor Jalandhari

kya jaane kahan bahr-e-ulfat ka kinara hai

Makhmoor Jalandhari

Jalandhar, Punjab, India

1915-1979
kyā jaane kahāñ bahr-e-ulfat kā kinārā hai
har mauj ke siine meñ kashtī ko utārā hai
ab aah ruke kyūñkar ab ashk thameñ kaise
chaltī huī āñdhī hai bahtā huā dhārā
tūfān tadabbur hai gahrā.ī tadabbur kī
maiñ ne tah-e-dariyā se sāhil ko ubhārā hai
parvāne charāġhoñ par girne lage mastī meñ
ye mahfil-e-hastī meñ kaun anjuman-ārā hai
sab saaz ke hāmil haiñ naġhma ho ki naala ho
naala bhī gavārā kar naġhma jo gavārā hai
'maḳhmūr' ko jiine do āñkhoñ hī se piine do
ye bāda-kash-e-ulfat nazroñ hī kā maarā hai
Top Urdushayar.com