jis ko na dil pe naaz ho naaz tire uThā.e kyuuñ
uTh na sake jo āstāñ le ke vo sar jhukā.e kyuuñ
maiñ jo tirā hijāb huuñ kis liye be-naqāb huuñ
parda ho jis kā chaak chaak parde meñ muñh chhupā.e kyuuñ
vo jo na dil meñ bhar sake nūr-o-ziyā kī bijliyāñ
phuul meñ muskurā.e kyuuñ zarre meñ jagmagā.e kyuuñ
husn-e-tabāh-kār hai chāhe kisī bhī shai meñ ho
ho na fareb agar hasīñ koī fareb khaa.e kyuuñ
chhāyā huā hai jab tamām ālam-e-kā.enāt par
gosha-e-tañg-o-tār meñ dil ke vo phir samā.e kyuuñ
hashr na.e uThā.e kyuuñ husn ko gar qarār ho
husn jo be-sukūñ na ho fitne na.e jagā.e kyuuñ
ab to ayaañ hue baġhair jaane na pāoge kabhī
chhup ke mirī nazar se tum ḳhalvat-e-dil meñ aa.e kyuuñ
shauq ho jis kā be-karāñ dil se bhī ho jo bad-gumāñ
apnī nigāh ko bhī vo jalva tirā dikhā.e kyuuñ
pīr-e-muġhāñ shajī.a ho zarf bhī jab vasī.a ho
bāda-kash-e-nigāh-e-mast nashshe meñ laḌkhaḌā.e kyuuñ