josh ubaltā hai pighaltī hai tamannā dil meñ
aag hī aag hai is soz-sarāpā dil meñ
terā jalva hai ki rañgīn sā dhokā dil meñ
kabhī zulmat kabhī paidā hai ujālā dil meñ
ab nahīñ tere do-ālam kī zarūrat mujh ko
ishq ne tere basā dī na.ī duniyā dil meñ
apnī āñkheñ to uThā mahv-shuda jalve bhī
nazar ā.eñge tujhe anjuman-ārā dil meñ
naaz thā un ko ki har qaid se āzād haiñ vo
maiñ ne kar hī liyā pāband-e-tamannā dil meñ
phūñktā rahtā hai kaunain ko jin kā partav
be-zarar hai unhīñ jalvoñ kā tamāshā dil meñ
aap hī baada huuñ maiñ aap hī saaqī 'maḳhmūr'
sāġhar āñkhoñ meñ mirī aur hai miinā dil meñ