Akmal Imaam

hijr ki sham se zaKHmon ke doshaale mangun

Akmal Imaam

hijr kī shaam se zaḳhmoñ ke doshāle māñgūñ
maiñ siyāhī ke samundar se ujāle māñgūñ
jab na.ī nasl na.ī tarz se jiinā chāhe
kyuuñ na us ahd se dastūr nirāle māñgūñ
apne ehsās ke sahrā meñ taqaddus chāhūñ
apne jazbāt kī ghāTī meñ shivāle māñgūñ
apnī āñkhoñ ke liye dard ke aañsū DhūñDūñ
apne qadmoñ ke liye phuul se chhāle māñgūñ
har na.e moḌ pe chāhūñ na.e rishtoñ kā hujūm
har qadam par maiñ na.e chāhne vaale māñgūñ
apne ehsās kī shiddat ko bujhāne ke liye
maiñ na.ī tarz ke ḳhush-fikr risāle māñgoñ
din kī saḌkoñ pe sajā kar na.ī sub.heñ 'akmal'
shab kī chaukhaT ke liye āhanī taale māñgoñ
Top Urdushayar.com