guzarte dauḌte lamhe hisāb meñ likhiye
haqīqatoñ kī tamannā bhī ḳhvāb meñ likhiye
aziyyateñ hī na apnī kitāb meñ likhiye
sukūñ kā pal bhī to sāñsoñ ke baab meñ likhiye
har ek harf se jiine kā fan numāyāñ ho
kuchh is tarah kī ibārat nisāb meñ likhiye
har ek jumbish-e-lab aur dil kī har dhaḌkan
sadā yaqīn banī inqalāb meñ likhiye
basīratoñ kī ziyā par na harf aa jaa.e
maiñ aql-o-hosh abhī tak hijāb meñ likhiye
savāl ban ke ubharte haiñ dard ke sūraj
sukūñ kā chāñd hī sab ke javāb meñ likhiye
milī haiñ din kī adhūrī masāfateñ shab ko
chamakte shām-o-sahar kis hisāb meñ likhiye
sulagte jism kā ehsās dard ke jugnū
añdherī shab ke guzarte hisāb meñ likhiye