silsile hādsoñ ke dhyān meñ rakh
umr-bhar ḳhud ko imtihān meñ rakh
maañg bharte haiñ jo salīboñ kī
un farishtoñ ko āsmān meñ rakh
jaane kis moḌ se guzarnā ho
ajnabī rāste gumān meñ rakh
zindagī ke bahut qarīb na jā
fāsla kuchh to apne dhyān meñ rakh
be-hisoñ par bhī jo garāñ guzrīñ
aise jumloñ ko dāstān meñ rakh
āḳhirī tiir kī tarah ḳhud ko
khīñch kar vaqt kī kamān meñ rakh
jism ehsās ke chaTaḳh jaa.eñ
aise but kāñch kī dukān meñ rakh
pī ke kuchh tajraboñ kā zahr 'akmal'
muḳhtalif zā.iqe zabān meñ rakh