kamān chhoḌ ga.e be-nazīr jitne the
lage haiñ Thiik nishāne pe tiir jitne the
fasād rokne kam-zarf log pahuñche haiñ
gharoñ meñ rah ga.e raushan zamīr jitne the
unheñ jalā diyā sanjīdgī ke sūraj ne
hamāre ahd ke bachche sharīr jitne the
thakan utaar rahe the na.e safar ke liye
safar se aa.e hue rāhgīr jitne the
mire bayān pe ehsās ho ga.e zaḳhmī
agar bache haiñ to bas be-zamīr jitne the
baḌī lakīr barābar meñ khīñch aayā thā
mile haiñ ham se bhī chhoTī lakīr jitne the
qadam hī ruk ga.e 'akmal' bas ek fire par
farār ho ga.e hote asiir jitne the