paḌ ga.ī jaise aql par miTTī
ḳhaak manzil hai rahguzar miTTī
moḌ sakte haiñ giilī hone tak
TuuT jaatī hai suukh kar miTTī
be-zamīrī jafā-kashī nafrat
naam badle hue hai har miTTī
phir bhī zālim kī pyaas baaqī hai
ho chukī hai lahū meñ tar miTTī
aao taaza musālahat kar leñ
pichhlī bātoñ pe Daal kar miTTī
jitne farmān the buzurgoñ ke
ho ga.e aaj be-asar miTTī
kapḌe sī sī ke ghar chalātī hai
hai vo kambaḳht kitnī nar miTTī
uñgliyoñ ke hunar se ai 'akmal'
shakl paatī hai chaak par miTTī