pyaar ishq hamdardī aur dostī sāzish
mere saath hotī hai roz ik na.ī sāzish
aane vaale lamhoñ ke ham mizāj-dāñ Thahre
kaise kar sakegī phir ham se zindagī sāzish
vo ḳhud-e'timādī kā aa.ina rahā hogā
varna ek muddat tak muntazir rahī sāzish
le chalī haiñ sāhil par mujh ko sar-phirī maujeñ
jaise ye bhī tūfāñ kī ho koī na.ī sāzish
maiñ ghane añdheroñ kā saaya saath rakhtā huuñ
mere saath kar jaa.e aur raushnī sāzish
us kī apnī chāloñ ne us pe vaar kar Daalā
vaqt ke badalte hī ruḳh badal ga.ī sāzish
'akmal' aaj kā insāñ kitnā be-tahammul hai
dil meñ kuchh ḳhalish ubhrī aur daaġh dī sāzish