zindagī tere ajab Thor-Thikāne nikle
pattharoñ meñ tirī taqdīr ke daane nikle
dard Tiis aur jalan se haiñ abhī nā-vāqif
zaḳhm jo bachche hathelī pe ugāne nikle
maiñ to har shai kā ḳharīdār huuñ lekin vo aaj
itnī jur.at ki mire daam lagāne nikle
na.ī tahqīq ne qatroñ se nikāle dariyā
ham ne dekhā hai ki zarroñ se zamāne nikle
talḳh jumloñ ke kahāñ tiir ḳhatā ho paa.e
dekhne meñ to ġhalat us ke nishāne nikle
zehn meñ ajnabī samtoñ ke haiñ paikar lekin
dil ke ā.īne meñ sab aks purāne nikle
de na paayā vo koī va.ada-ḳhilāfī kā javāz
muzmahil us ke na aane ke bahāne nikle
maiñ to ḳhushiyoñ ke ugātā rahā paude 'akmal'
aur har shāḳh pe zaḳhmoñ ke ḳhazāne nikle