Sardar Genda Singh Mashriqi

rah kar makan mein mere mehman jaiye

Sardar Genda Singh Mashriqi

rah kar makān meñ mire mehmān jā.iye
merā bhī ek baar kahā maan jā.iye
kahtā har ek hai tirī tasvīr dekh kar
is shakl is shabīh ke qurbān jā.iye
mujh ko pilā ke bazm meñ kahne lage vo aaj
bas jā.iye yahāñ se mirī jaan jā.iye
sumbul ne aaj nargis-e-hairāñ se ye kahā
jab jā.iye chaman meñ pareshān jā.iye
maiñ ne kahā ye un se jab aa.e vo vaqt-e-naz.a
hai āḳhirī savāl mirā maan jā.iye
naqsh-e-qadam tirā hai har ik ġhairat-e-chaman
ai yaar terī chaal ke qurbān jā.iye
ai yaar dekh zulf-e-mo.ambar na khol tū
aage hī dil hai apnā pareshān jā.iye
jis se kabhī thā tum ko shab-o-roz iḳhtilāt
ye hai vahī to 'mashriqī' pahchān jā.iye
Top Urdushayar.com