agar ulTī bhī ho ai 'mashriqī' tadbīr sīdhī ho
magar ye shart hai insān kī taqdīr sīdhī ho
samajh meñ aa.e bhī kyā kahte haiñ aur kyā vo likhte haiñ
agar taqrīr sīdhī ho agar tahrīr sīdhī ho
vo aa kar ḳhvāb meñ ik bosa ruḳh kā de ga.e mujh ko
yaqīñ mujh ko nahīñ is ḳhvāb kī ta.abīr sīdhī ho
kajī ai 'mashriqī' ho duur kyuuñ kar kaj-mizājoñ kī
nahīñ mumkin ki pusht-e-āsmān-e-pīr sīdhī ho