Sardar Genda Singh Mashriqi

dekha kisi ka humne na aisa suna dimagh

Sardar Genda Singh Mashriqi

dekhā kisī kā ham ne na aisā sunā dimāġh
in sañg-dil butoñ kā hai allāh kyā dimāġh
kartā nahīñ tamīz sharīf-o-razīl meñ
is charḳh-e-pīr kā hai magar phir gayā dimāġh
dekhe bahut haiñ ham ne hasīnān-e-pur-ġhurūr
lekin ajab tarah kā hai kuchh aap kā dimāġh
kal jitnā ham ne us ko manā ke banāyā thā
utnā hī aaj aur hai bigḌā huā dimāġh
jab hoñge pesh dāvar-e-mahshar ke sāmne
ham dekh leñge aap kā roz-e-jazā dimāġh
aayā nahīñ samajh meñ ye ulTā mo.āmla
ban ban ke kyuuñ bigaḌtā hai ye aap kā dimāġh
gul kī bahār gulistāñ meñ chand roz hai
achchhā nahīñ hai is qadar ai mah-laqā dimāġh
ai 'mashriqī' kabhī thā dimāġh apnā arsh par
hai āj-kal to ḳhaak meñ apnā milā dimāġh
Top Urdushayar.com