Sardar Genda Singh Mashriqi

ilahi KHair ho wo aaj kyun kar tan ke baiThe hain

Sardar Genda Singh Mashriqi

ilāhī ḳhair ho vo aaj kyuuñ kar tan ke baiThe haiñ
kisī ke qatl karne ko bhabhūkā ban ke baiThe haiñ
subuk-sar hai vahī jo dūsroñ ke ghar pe jaatā hai
jo apne ghar meñ baiThe haiñ vo lākhoñ man ke baiThe haiñ
ġhazab hai qahr hai shāmat hai aafat hai qayāmat hai
baġhal meñ vo adū ke aaj kyuuñ ban-Than ke baiThe haiñ
kaheñ kyā mudda.ā apnā sunā.eñ rāz-e-dil kyuuñ kar
hamāre sāmne kuchh aadmī dushman ke baiThe haiñ
maza kunj-e-lahad meñ kyuuñ na luuñ maiñ sāġhar-e-mul kā
ki bāda-ḳhvār paas aa kar mire madfan ke baiThe haiñ
ḳhudā ke vāste un ko nikal kar jalva dikhlā do
ki ḳhvāhish-mand kūche meñ tire chitvan ke baiThe haiñ
haiñ pyāse ham to muddat ke pilā de jām-e-mai saaqī
vo jab chāheñ piyeñ jo muntazir sāvan ke baiThe haiñ
tabī.at ho to aisī ho jo aadat ho to aisī ho
abhī vo tan ke baiThe the abhī vo man ke baiThe haiñ
agar raġhbat na ho is dahr meñ muuzī ko muuzī se
to kyuuñ ḳhār-e-muġhīlāñ paañv meñ rahzan ke baiThe haiñ
nahīñ ma.alūm kis ko tāḌte haiñ kis se va.ada hai
ba-vaqt-e-shām paas aa kar jo vo chilman ke baiThe haiñ
nahīñ parvā agar ai 'mashriqī' un ko balā jaane
agar vo haiñ khiñche baiThe to ham bhī tan ke baiThe haiñ
Top Urdushayar.com