Sardar Genda Singh Mashriqi

tumhein shab-e-wada dard-e-sar tha ye sab hain be-etibar baaten

Sardar Genda Singh Mashriqi

tumheñ shab-e-va.ada dard-e-sar thā ye sab haiñ be-e'tibār bāteñ
yaqīñ na aa.egā ham ko hargiz banāo go tum hazār bāteñ
nahīñ jo manzūr tum ko milnā to kyuuñ nahīñ saaf saaf kahte
samajh meñ aatī nahīñ hamāre karo na tum pechdār bāteñ
uThī hai kaalī ghaTā falak par hai sāqī-e-māh-vash baġhal meñ
bahak bahak kar haiñ kyā maze se banā rahe bāda-ḳhvār bāteñ
huiiñ haiñ jis din se chaar āñkheñ tumhārī ai yaar 'mashriqī' se
yahī tamannā hai baiTh kar tum suno hamārī do-chār bāteñ
hai aa.ī mushkil se vasl kī shab ki jis kī muddat se thī tamannā
jo maiñ ne shikve kiye the us kī karo na tum baar baar bāteñ
ye kyā mahal hai ki aaj karte ho shaiḳh jī zikr-e-zohd-o-taqvā
yahī hai vājib ki hoñ gul-o-mul kī vaqt-e-fasl-e-bahār bāteñ
jo aaj aa.e ho mere ghar par to hai ye zikr-e-raqīb kaisā
na kījiye 'mashriqī' se sāhab ki haiñ ye sab nāgavār bāteñ
Top Urdushayar.com