un butoñ se rabt toḌā chāhiye
chāhiye ab un ko thoḌā chāhiye
qahba-e-duniyā ko chhoḌā chāhiye
rabt is luulī se toḌā chāhiye
kis zabāñ se mohtasib tū ne kahā
sāġhar-o-mīnā ko toḌā chāhiye
ḳhanda-zan hai mastī-e-mai-ḳhvār par
shīsha-e-sahbā ko toḌā chāhiye
us bat-e-mai ne kiyā ham ko zalīl
us kī gardan ko maroḌā chāhiye
jī meñ hai sair-e-falak ko jaa.eñ ham
bāda-e-gul-gūñ kā ghoḌā chāhiye
hai ḳhirāmāñ naaz se mauj-e-nasīm
nik.hat-e-gul kā ye ghoḌā chāhiye
donoñ āñkheñ kyuuñ na hoñ dil ko aziiz
āhūoñ kā mujh ko joḌā chāhiye
gar nishān-e-manzil-e-jānāñ mile
phir qadam pīchhe na moḌā chāhiye
ek muddat meñ baḌhāyā tū ne rabt
ab ghaTānā thoḌā thoḌā chāhiye
zulmat-e-shab se hai zīnat maah kī
zulf ko aariz pe chhoḌā chāhiye
TuuTe dil ko momiyā-e-lutf se
ho agar taufīq joḌā chāhiye
kyuuñ shahīdoñ kā kafan hove safed
un ke tan par laal joḌā chāhiye
hai jo fikr-e-shāh aa.alī silsila
ālam-e-ma.anī se joḌā chāhiye
koh to tesha se TuuTā kohkan
koshak-e-ḳhusrav bhī toḌā chāhiye
paḌ ga.ī chakkar meñ kashtī nā-ḳhudā
ab ḳhudā par is ko chhoḌā chāhiye
gar samand-e-nāz par tū ho savār
zulf kā hāthoñ meñ koḌā chāhiye
khul gayā mujh se jo ik band-e-qabā
bole us kā haath toḌā chāhiye
us kī zulfoñ ko saperā dekh le
gar use kāloñ kā joḌā chāhiye
ganj-e-husn us kā hai ruḳh aur maar zulf
ganj par kāloñ kā joḌā chāhiye
bād-pā hai ablaq-e-chashm-e-siyāh
kyā use kājal kā koḌā chāhiye
mārtā bulbul ko hai kyuuñ bāġhbāñ
kaan gul kā bhī maroḌā chāhiye
hai chaman meñ āmad-e-fasl-e-bahār
ab dar-e-zindāñ ko toḌā chāhiye
hai bahār aa.ī qabā-e-gul se ab
bulbuloñ ko laal joḌā chāhiye
gul bhī un ko ḳhaar aate haiñ nazar
hāsidoñ kī aañkh phoḌā chāhiye
maiñ huuñ aasī muñh meñ mere vaqt-e-naz.a
dāman-e-tar ko nichoḌā chāhiye
rah chukā tan ke qafas meñ ye bahut
ruuh ke taa.ir ko chhoḌā chāhiye
ho agar na sar meñ saudā ishq kā
phir use patthar se phoḌā chāhiye
haath meñ ai gul-badan mehñdī lagā
panja-e-marjāñ maroḌā chāhiye
kaun sī mushkil hai jo āsāñ na ho
dil meñ istiqlāl thoḌā chāhiye
manzil-e-mulk-e-baqā meñ 'mashriqī'
dāman-e-nānak na chhoḌā chāhiye