Sardar Genda Singh Mashriqi

kuchh bad-gumaniyan hain kuchh bad-zabaniyan hain

Sardar Genda Singh Mashriqi

kuchh bad-gumāniyāñ haiñ kuchh bad-zabāniyāñ haiñ
muddat se un kī ham par ye mehrbāniyāñ haiñ
aatā hai jab kisī par ruktā nahīñ hai hargiz
mānind-e-mauj-e-dariyā dil kī ravāniyāñ haiñ
paidā kahāñ haiñ hote ab 'zauq' aur 'ġhālib'
haañ 'dāġh' aur 'hālī' un kī nishāniyāñ haiñ
jo paas thā vo khoyā nām-e-salaf Duboyā
kyā ḳhaak apnī ai dil ab zindagāniyāñ haiñ
ai dil na chheḌ qissa ho dard jis se paidā
ye sher-ḳhvāniyāñ hai yā nauha-ḳhvāniyāñ haiñ
kyā ham ne ye nikālī tarz-e-ġhazal nirālī
kuchh guf-fishāniyāñ haiñ kuchh ḳhūñ-fishāniyāñ haiñ
bād-e-ḳhizāñ ne gulshan vīrāñ kiyā hai saarā
bulbul kī ab kahāñ vo rañgīñ-bayāniyāñ haiñ
jaur-o-jafā ke aise ham ho ga.e haiñ ḳhūgar
nā-meharbāniyāñ bhī ab mehrbāniyāñ haiñ
ai 'mashriqī' jahāñ meñ dekhā yahī tamāshā
kuchh mātam-o-alam hai kuchh shādmāniyāñ haiñ
Top Urdushayar.com