aa kidhar hai tū sāqī-e-maḳhmūr
bhar ke de jām-e-bāda-e-añgūr
koī jām-e-sharāb aisā pilā
jis se shādī kare dil-e-ranjūr
rañj-e-getī se dil mukaddar hai
bhar ke de mai se sāġhar-e-billor
aaj yaum-e-zafar do-shohrā hai
tālib-e-aish hai dil-e-jamhūr
maar kar dev-e-bad ko lanka se
raam aa.e muzaffar-o-mansūr
rām-o-sītā avadh meñ jab aa.e
dil-e-kaushalyā huā masrūr
taḳht-e-lankā diyā vibhīshan ko
jab huā qatl rāvan-e-maqhūr
dil sumitrā kā bhī huā ḳhursand
dekhā lachhman kā jab ruḳh-e-pur-nūr
kaash dashrath bhī zinda hote aaj
thā na īshvar ko ye magar manzūr
dostoñ ko ye din mubārak ho
ho mubārak unheñ ye aish-o-surūr
saal pūchhe agar koī kah do
aaj maarā hai rāvan-e-maġhrūr