Sardar Genda Singh Mashriqi

wusat-e-bahr-e-ishq kya kahiye

Sardar Genda Singh Mashriqi

vus.at-e-bahr-e-ishq kyā kahiye

ibtidā ho to intihā kahiye

tere jaur-o-jafā ko kyā kahiye

naaz kahiye unheñ adā kahiye

us sitamgar ko or kyā kahiye

saare jhūToñ peshvā kahiye

pūchhnā chāhiye tabīboñ se

dard-e-dil hai ye davā kahiye

ham bhī muñh meñ zabān rakhte haiñ

kuchh samajh kar burā bhalā kahiye

ġhairoñ ke sāmne bulā ke mujhe

kahte haiñ dil mudda.ā kahiye

na koī yaar hai na hai ġham-ḳhvār

kis se ab dil mājrā kahiye

piite haiñ jo sharāb masjid meñ

aise logoñ ko pārsā kahiye

sharm kyā hai mujhe jo kahnā ho

sāmne sab ke barmalā kahiye

vo jafā-gar falak sitamgar hai

kise achchhā kise burā kahiye

ġhair saath aap ke maze lūTeñ

ham uThā.eñ jafā.eñ kyā kahiye

bhuul kar le gayā sū-e-manzil

aise rahzan ko rahnumā kahiye

chaar agar yaar haiñ to das dushman

raaz dil na jā-ba-jā kahiye

jaan se gar gayā koī āshiq

ishq is ko ibtidā kahiye

kyā yahī shart hai mohabbat

be-vafāoñ ko bā-vafā kahiye

shaiḳh piite haiñ jo mai-e-ulfat

us ko kis tarah nāravā kahiye

dil siine aur jigar haal

hai ye vājib judā judā kahiye

haal sunte nahīñ mirā na suno

apne dil to mājrā kahiye

'mashriqī' chhoḌiye butoñ zikr

sub.h uTh kar ḳhudā ḳhudā kahiye

Top Urdushayar.com