ba-juz saaya tan-e-lāġhar ko mere koī kyā samjhe
mirī sūrat ko mahfil meñ vo naqsh-e-boriyā samjhe
ham us ko apne haq meñ āfat-e-jāñ aur balā samjhe
butān-e-be-vafā haiñ jin ko ik apnī adā samjhe
koī kyā ḳhaak rāz-e-mushkil-e-zāt-e-ḳhudā samjhe
agar nūr-e-ḳhudā ko zāt-e-insāñ se judā samjhe
vahāñ jā kar kare gar qatl tū bīmār-e-hijrāñ ko
tire kūche ko apne haq meñ vo dārushshifā samjhe
siyah-baḳhtī pe saaya gar ho terī zulf-e-shab-gūñ kā
use vo apne sar pe sāya-e-bāl-e-humā samjhe
vahī kartā hai insāñ kaam jo qismat karātī hai
koī chāhe use samjhe ravā yā nāravā samjhe
laTakte dekhā siine par jo tere tār-e-gesū ko
use dīvāne vahshat meñ tirā band-e-qabā samjhe
na hargiz ḳhuuñ rulā.e bulbuloñ ko baaġh meñ ai gul
jo apne husn ko tū tā.ir-e-rañg-e-hinā samjhe
tire ā.īna-e-ruḳh ko sikandar dekhne aayā
tirī mahfil meñ ham us ko gadā-e-be-navā samjhe
koī kyā jāntā hai kis qadar bose liye ham ne
samajhte haiñ ham us ko yā hamārā dil-rubā samjhe
butoñ se ham ne joḌā rishta-e-dil ko vo kāfir hai
agar is rishta ko koī hamāre nāravā samjhe
tū jā kar chheḌ gul ko yā kisī kī zulf-e-pechāñ ko
chal ai bād-e-sabā tū kyā mirī nāz-o-adā samjhe
kabhī baiThā bhī gar dekhā unhoñ ne apne kūche meñ
tan-e-lāġhar ko mere vo kisī kā naqsh-e-pā samjhe
bayābāñ meñ jo aayā koī jhoñkā bād-e-sar-sar kā
tirī ham sard-mehrī se nasīm-e-jāñ-fazā samjhe
vahī haiñ ham banāyā jo hameñ haq ne nahīñ parvā
koī ham ko burā samjhe koī ham ko bhalā samjhe
bhale ko gar burā samjhe na hargiz vo burā hogā
bhalā is meñ burā kyā hai bure ko gar burā samjhe
hai insāñ ke liye lāzim jahāñ meñ dekh kar chalnā
vo hai haivāñ na dil meñ jo zamāne kī havā samjhe
agar us ne kabhī toḌā hamāre gauhar-e-dil ko
ham us ke haq meñ us ke TūTne ko momiyā samjhe
pighal kar sham.a ḳhud parvāna ko pahle jalātī hai
kisī ke mom hone ko na koī momiyā samjhe
garebāñ ham ne dikhlāyā unhoñ ne zulf dikhlā.ī
hamārā samjhe vo matlab ham un kā mudda.ā samjhe
ḳhudā ko samjhe tum patthar jo patthar ko ḳhudā samjhe
agar samjhe use patthar to phir tum us ko kyā samjhe
tarīq-e-ḳhāksārī sullam-e-bām-e-buzurgī hai
usī ko 'mashriqī' insāñ jahāñ meñ kīmiyā samjhe