maiñ vo ātish-e-nafas huuñ aag abhī
ḳhirman-e-barq meñ lagā dūñgā
rūTho mujh se na vo balā huuñ maiñ
ronī sūrat ko bhī hañsā dūñgā
tū uThā.e jo ḳhanjar-e-pur-ḳham
gardan apnī vahīñ jhukā dūñgā
aah se arsh ko hilā dūñgā
kuñgar-e-charḳh ko jhukā dūñgā
na chalo mujh se tum raqīboñ chaal
uñgliyoñ par tumheñ nachā dūñgā
vaqt rone ke āh-e-sozāñ se
dāman-e-abr ko jalā dūñgā
aage mere na sheḳhī maar ai shaiḳh
raat kā mājrā sunā dūñgā
aah ko merī be-asar na kaho
maiñ tamāshā abhī dikhā dūñgā
tum jo har roz kahte ho mar-mar
ek din mar ke bhī dikhā dūñgā
dūsre ko jo doge dil meñ bhī
dil ke naqsh-e-vafā miTā dūñgā
shaiḳh chal to sharāb-ḳhāne meñ
maiñ tujhe aadmī banā dūñgā
'mashriqī' de agar vo jām-e-sharāb
dil se ġham maiñ abhī miTā dūñgā