Sardar Genda Singh Mashriqi

nala shab-e-firaq jo koi nikal gaya

Sardar Genda Singh Mashriqi

naala shab-e-firāq jo koī nikal gayā
josh-e-junūñ se chiir ke cahrḳh-o-zuhal gayā
pūchhā mizāj is kā jo rashk-e-masīh ne
le kar marīz-e-ishq sambhālā sambhal gayā
niklī zabān-e-sham.a se kyā baat raat ko
sunte hī jis ko bazm meñ parvāna jal gayā
ahd-e-shabāb chashm-e-zadan meñ huā tamām
jhoñkā thā ik nasīm kā aa kar nikal gayā
dār-e-fanā meñ kaun hai jis ko qayām hai
koī yahāñ se aaj gayā koī kal gayā
kaisā hī koī kyuuñ na ho koī chālāk shahsavār
guzrā jo rāh-e-ishq meñ vo sar ke bal gayā
ab aa.ī raat dekheñ guzartī hai kis tarah
banda-navāz din to bahānoñ meñ Tal gayā
ye tā.ir-e-nafas bhī to vāpas na aa.egā
jab chhoḌ kar badan ke qafas se nikal gayā
lutf-e-kalām-e-'mashriqī' us ko rahā bhī yaad
sun kar mushā.irā meñ jo merī ġhazal gayā
Top Urdushayar.com