Sardar Genda Singh Mashriqi

bosa dete ho agar tum mujhko do do sab ke do

Sardar Genda Singh Mashriqi

bosa dete ho agar tum mujh ko do do sab ke do
jiibh ke do sir ke do ruḳhsār ke do sab ke do
le ke do ruḳhsār ke bose jo māñge sab ke do
aur to de deñge bole par ye haiñ be-Dhab ke do
māñgte tujh se nahīñ ai gul-badan kuchh aur ham
hai agar taufīq tum bose do nām-e-rab ke do
rozoñ meñ gar paas apne aa.e vo rashk-e-qamar
bosa ham iftār ko māñgeñ lab-e-atyab ke do
misal-e-yūsuf ho rahā huuñ maiñ asīr-e-chāh-e-ġham
bosa ai rashk-e-zuleḳhā do mujhe abab ke do
maiñ nahīñ huuñ māñgtā das biis tum se yā pachās
sirf do bosa lab-e-shīrīñ ke hañs kar ab ke do
hai ḳhushī ye aap kī ai māh-rū do yā na do
kaun kahtā hai ki tum bose kisī se dab ke do
do do kar ke bosa-e-mau.ūd jab maiñ ne gine
hañs ke pūchhā haiñ ikaTThe ye kiye kab kab ke do
tab kahā maiñ ne ki sun lo sher meñ kyā sharm hai
sub.h ke do shaam ke do din ke do aur shab ke do
donoñ ruḳhsāroñ ke bose leñge ham ai sīm-tan
do hameñ is Dhab ke do tum aur do is Dhab ke do
'mashriqī' ma.ashūq do pachchhim ke mahfil meñ ho gar
do deccan ke chāhiyeñ uttar ke do pūrab ke do
Top Urdushayar.com