kaalī ghaTā kab aa.egī fasl-e-bahār meñ
āñkheñ safed ho ga.iiñ is intizār meñ
kyuuñ kar qarār aa.e dil-e-be-qarār meñ
tum puure kab utarte ho qaul-o-qarār meñ
tārīk dasht ho gayā āñkhoñ meñ qais kī
pinhāñ huā jo nāqa-e-lailā ġhubār meñ
aa.e kabhī na phir tujhe sair-e-chaman meñ lutf
baiThe agar tū aa ke dil-e-dāġh-dār meñ
lāzim nahīñ ki mard musībat meñ ho malūl
ḳhandāñ hamesha rahtā hai gul ḳhārzār meñ
hai ye kisī kī chashm-e-siyah-mast kā asar
tauba bhī laḌkhaḌāne lagī hai bahār meñ
hote vahāñ jo 'dāġh' to dillī bhī dekhte
ab kyā kareñge jā ke us ujḌe dayār meñ
kyā ḳhaak apne dil ko tamannā-e-sher ho
juz ḳhaar kuchh nahīñ chaman-e-rozgār meñ
juz 'dāġh' aaj bulbul-e-hindustāñ hai kaun
kahte haiñ ham pukār ke ye sau hazār meñ
ai 'mashriqī' nasīb na sū-e-duā hai ye
kyā ġham jo jāgtā huuñ shab-e-intizār meñ