jis kā rāhib shaiḳh ho but-ḳhāna aisā chāhiye
mohtasib saaqī bane mai-ḳhāna aisā chāhiye
rakhtā hai sar-ḳhush hameñ ek chashm-e-maigūñ kā ḳhayāl
ho na jo paimāñ-shikan paimāna aisā chāhiye
ho ḳhayāl-e-dair dil meñ aur na ho pās-e-haram
āshiqoñ kā maslak-e-rindāna aisā chāhiye
ik nigāh-e-nāz par qurbāñ kare hosh-o-ḳhirad
ishq-bāzī ke liye farzāna aisā chāhiye
is ke dil meñ soz ho aur us ke dil meñ ho gudāz
sham.a aisī chāhiye parvāna aisā chāhiye
sham.a saañ ghulte raheñ ham aur na ho us ko lagan
'mashriqī' ma.ashūq be-parvāna aisā chāhiye