baam se Dhal chukā hai aadhā din
kis se milne chalā hai aadhā din
tum jo chāho to ruk bhī saktā hai
varna kis se rukā hai aadhā din
jhāñktī shaam ke kināre par
mujh se phir laḌ paḌā hai aadhā din
us ne dekhā jahāñ palaT ke mujhe
bas vahīñ ruk gayā hai aadhā din
aas kī āhaTeñ jagā.e hue
khiḌkiyoñ meñ sajā hai aadhā din
dhuup kī reshmīñ tanāboñ par
kis tarah TūTtā hai aadhā din
paḌ rahī hogī barf vaadī meñ
aañkh meñ jam gayā hai aadhā din
tīrgī kā libās oḌhe hue
mere andar chhupā hai aadhā din
'ambarīn' ek hai bakheḌe sau
aur guzar bhī gayā hai aadhā din