Ambarin Salahuddin

asir-e-KHwab nai justuju ke dar kholen

Ambarin Salahuddin

asīr-e-ḳhvāb na.ī justujū ke dar kholeñ
havā pe haath rakheñ aur apne par kholeñ
sameTe apne sarāboñ meñ bārishoñ kā jamāl
kahāñ kā qasd hai ye raaz ḳhush-nazar kholeñ
use bhulāne kī phir se kareñ na.ī sāzish
chalo ki aaj koī nāma-e-digar kholeñ
ulajhtī jaatī haiñ girheñ adhūre lafzoñ kī
ham apnī bātoñ ke saare agar magar kholeñ
jo ḳhvāb dekhnā ta.abīr khojnā ho kabhī
to pahle raat ke lipTe hue bhañvar kholeñ
ik iiñT sāmne dīvār se nikāleñ ab
chalo ki phir se nayā koī dard-e-sar kholeñ
Top Urdushayar.com