Ambarin Salahuddin

kyun ambar ki pahnai mein chup ki rah TaTolen

Ambarin Salahuddin

kyuuñ ambar kī pahnā.ī meñ chup kī raah TaToleñ
apnī zaat kī bunat udheḌeñ saañs meñ ḳhaak samo leñ
dhuul meñ lipTī is ḳhvāhish kī saarī parteñ kholeñ
dhartī jañgal sahrā parbat paañv biich piro leñ
apne ḳhvāb ke hāthoñ meñ takle kī nok chubho leñ
kisī mahal ke sannāTe meñ ek sadī tak so leñ
ek sadā ke lams meñ vaqt ke chāroñ khoñT bhigo leñ
guuñj meñ lipTe yaad ke kohna rastoñ par phir ho leñ
ik manzar meñ ik dhuñdle se aks meñ chhup ke ro leñ
ham kis ḳhvāb meñ āñkheñ mūñdeñ kis meñ āñkheñ kholeñ
Top Urdushayar.com