Ambarin Salahuddin

jab mere shahr ki har sham ne dekha usko

Ambarin Salahuddin

jab mire shahr kī har shaam ne dekhā us ko
kyuuñ na phir mere dar-o-bām ne dekhā us ko
harf-dar-harf mire dil meñ utart aayā hai
mujh se pahle mire ilhām ne dekhā us ko
merī āñkhoñ ne to ik baar hī manzar dekhā
phir har ik lamha-e-dushnām ne dekhā us ko
din Dhale ḳhvāb darīche meñ utar aatā hai
jab bhī dekhā hai yahāñ shaam ne dekhā us ko
jaane kis ḳhvāb kī hairat ne jagā.e rakkhā
phir mirī hasrat-e-nākām ne dekhā us ko
Top Urdushayar.com