Ambarin Salahuddin

uske dhyan ki dil mein pyas jaga li jae

Ambarin Salahuddin

us ke dhyān kī dil meñ pyaas jagā lī jaa.e
ek bhī shaam na phir us ke naam se ḳhālī jaa.e
ā.ankhoñ meñ kājal kī parat jamā lī jaa.e
sakhiyoñ se yuuñ priit kī jot chhupā lī jaa.e
ret hai sūraj hai vus.at hai tanhā.ī
lekin naañ is dil kī ḳhām-ḳhayālī jaa.e
ā.ankhoñ meñ bhar kar is dasht kī hairānī
vahshat kī umda tasvīr banā lī jaa.e
aap ne pahle bhī to mujh ko dekhā hogā!
aap ke muñh se aap kī baat churā lī jaa.e
sochoñ meñ girdāb se paḌne lag jaa.eñ
ā.ankhoñ se phir aaTh pahar na laalī jaa.e
dil-āzārī kī miTTī se īstāda ghar
un be-faiz daroñ tak kaun savālī jaa.e
Top Urdushayar.com