Umair Najmi

khel donon ka chale tin ka dana na paDe

Umair Najmi

Rahim Yar Khan, Punjab, Pakistan

1986
khel donoñ kā chale tiin kā daana na paḌe
sīḌhiyāñ aatī raheñ saañp kā ḳhāna na paḌe
dekh me.amār parinde bhī raheñ ghar bhī bane
naqsha aisā ho koī peḌ girānā na paḌe
mere hoñToñ pe kisī lams kī ḳhvāhish hai shadīd
aisā kuchh kar mujhe cigarette ko jalānā na paḌe
is ta.alluq se nikalne kā koī rāsta de
is pahāḌī pe bhī bārūd lagānā na paḌe
nam kī tarsīl se āñkhoñ kī harārat kam ho
sard-ḳhānoñ meñ koī ḳhvāb purānā na paḌe
rabt kī ḳhair hai bas terī anā bach jaa.e
is tarah jā ki tujhe lauT ke aanā na paḌe
hijr aisā ho ki chehre pe nazar aa jaa.e
zaḳhm aisā ho ki dikh jaa.e dikhānā na paḌe
Top Urdushayar.com