jab aah bhī chup ho to ye sahrā.ī kare kyā
sar phoḌe na ḳhud se to ye tanhā.ī kare kyā
guzrī jo idhar se to ghuTan se ye maregī
habs-e-dil-e-vahshī meñ ye purvā.ī kare kyā
kahtī hai jo kahne do ye duniyā mujhe kyā hai
zindāni-e-ehsās meñ rusvā.ī kare kyā
har husn o adā dhañs ga.e ā.īne ke andar
jab raakh hoñ āñkheñ to ye zebā.ī kare kyā
vo zaḳhm ki har lams nayā zaḳhm lage hai
bīmāri-e-idrāk masīhā.ī kare kyā
pal bhar ko ye saudā-e-junūñ kam nahīñ hotā
shahroñ ke takalluf meñ ye saudā.ī kare kyā