tanhā.ī ne phir bazm sajā lī hai to kyā hai
chup ne jo kahīñ aag jalālī hai to kyā hai
lo ḳhaak nashīnān-e-bayābān chale phir
manzil ne mirī pyaas bujhā lī hai to kyā hai
shāyad rag-e-jāñ toḌ ke niklī hai tamannā
ḳhvāboñ ne koī bazm sajā lī hai to kyā hai
phir aks bujhā jaatā hai sūraj kī ziyā se
ā.īne se vo dhuul uThā lī hai to kyā hai
maiñ bhuul bhulayyoñ meñ kahīñ ghuum rahī huuñ
dil ne koī dīvār girā lī hai to kyā hai
minnat-kash-e-ehsās kahāñ chain milegā
minnat mirī sadiyoñ ne baḌhā lī hai to kyā hai
mehñdī kā koī rañg zarā din nahīñ Thahrā
muTThī meñ vahī ḳhaak sajā lī hai to kyā hai
mujh meñ hī mirī ruuh bhaTaktī hai to kab se
āvārgī-e-shām sambhālī hai to kyā hai