har ek ḳhvāb so gayā ḳhayāl jāgte rahe
javāb pī liye magar savāl jāgte rahe
hamārī putliyoñ pe ḳhvāb apnā bojh rakh ga.e
ham ek shab nahīñ ki maah o saal jāgte rahe
guzār ke vo hijrateñ ajiib zaḳhm de ga.iiñ
mile bhī us ke ba.ad par malāl jāgte rahe
bas ek baar yaad ne tumhārā saath chhū liyā
phir is ke ba.ad to ka.ī jamāl jāgte rahe
kamāl-e-be-kalī sahī ajiib ratjage kiye
hamāre jism niiñd se niDhāl jāgte rahe
koī javāz DhūñDte ḳhayāl hī nahīñ rahā
tamām umr yūñhī be-ḳhayāl jāgte rahe