tumhārī muntazir yuuñ to hazāroñ ghar banātī huuñ
vo rasta bante jaate haiñ kuchh itne dar banātī huuñ
jo saarā din mire ḳhvāboñ ko reza reza karte haiñ
maiñ un lamhoñ ko sī kar raat kā bistar banātī huuñ
hamāre daur meñ raqqāsa ke paañv nahīñ hote
adhūre jism likhtī huuñ ḳhamīda sar banātī huuñ
samundar aur sāhil pyaas kī zinda alāmat haiñ
unheñ maiñ tishnagī kī had ko bhī chhū kar banātī huuñ
maiñ jazboñ se taḳhayyul ko nirālī vus.ateñ de kar
kabhī dhartī bichhātī huuñ kabhī ambar banātī huuñ
mire jazboñ ko ye lafzoñ kī bandish maar detī hai
kisī se kyā kahūñ kyā zaat ke andar banātī huuñ