Sarwat Zehra

sawal-andar-sawal le kar kahan chale ho

Sarwat Zehra

Karachi, Sindh, Pakistan

1972
savāl-andar-savāl le kar kahāñ chale ho
ye āsmān-e-malāl le kar kahāñ chale ho
junūñ ke raste meñ ye ḳhudī bhī azaab hogī
ḳhirad kā koh-e-vabāl le kar kahāñ chale ho
kahāñ pe khologe dard apnā kise kahoge
kahīñ chhupāo, ye haal le kar kahāñ chale ho
nahā rahe ho azāb-e-hijrāñ kī bārishoñ meñ
zarā sī gard-e-visāl le kar kahāñ chale ho
sarāb piine kī aarzū hai to javāb de do
safar meñ ḳhvāb-o-ḳhayāl le kar kahāñ chale ho
chale ho jab to hamāre mausam badal chuke haiñ
suno ye mere vabāl le kar kahāñ chale ho
Top Urdushayar.com